PDA

View Full Version : kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se



The_King_Khan
06-23-2009, 04:36 PM
kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se


ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se


ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se


nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se


'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se